dil ko shohrat ka talabgar na hone dije
dil ko shohrat kā talabgār na hone diije
ḳhud ko rusvā sar-e-bāzār na hone diije
faaqa kar lījiye is shahr-e-jafā meñ lekin
ḳham anā kī kabhī dastār na hone diije
jis kī ta.amīr meñ aslāf kā ḳhuuñ shāmil ho
us havelī ko to mismār na hone diije
guftugū meñ bhī rahe husn-e-takallum kā ḳhayāl
aur lahje ko bhī talvār na hone diije
vaqt se qīmtī duniyā meñ koī chiiz nahīñ
koī pal ziist kā be-kār na hone diije
ḳhāmushī 'nasr' hai dar-asl zahānat kī dalīl
apne hālāt ko aḳhbār na hone diije
dil ko shohrat ka talabgar na hone dije
KHud ko ruswa sar-e-bazar na hone dije
faqa kar lijiye is shahr-e-jafa mein lekin
KHam ana ki kabhi dastar na hone dije
jis ki tamir mein aslaf ka KHun shamil ho
us haweli ko to mismar na hone dije
guftugu mein bhi rahe husn-e-takallum ka KHayal
aur lahje ko bhi talwar na hone dije
waqt se qimti duniya mein koi chiz nahin
koi pal zist ka be-kar na hone dije
KHamushi 'nasr' hai dar-asl zahanat ki dalil
apne haalat ko aKHbar na hone dije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.