dil ko sukun mila hai tujhe dekhne ke baad
dil ko sukūñ milā hai tujhe dekhne ke baad
ḳhushiyoñ kā silsila hai tujhe dekhne ke baad
ab lutf kyā milegā kisī shai kī diid se
jo lutf mil rahā hai tujhe dekhne ke baad
pazhmurda zindagī ko milī ik na.ī hayāt
aisā asar huā hai tujhe dekhne ke baad
bechainiyāñ sī rahtī haiñ har pal har ek din
mujh ko ye kyā huā hai tujhe dekhne ke baad
mujh par karam karegā ḳhudā ek din zarūr
mahsūs ye huā hai tujhe dekhne ke baad
jis kī mujhe talāsh thī vo mil gayā hai ab
aisā mujhe lagā hai tujhe dekhne ke baad
merā nasīb sañvregā 'tal.at' kabhī zarūr
mujh ko ye aasrā hai tujhe dekhne ke baad
dil ko sukun mila hai tujhe dekhne ke baad
KHushiyon ka silsila hai tujhe dekhne ke baad
ab lutf kya milega kisi shai ki did se
jo lutf mil raha hai tujhe dekhne ke baad
pazhmurda zindagi ko mili ek nai hayat
aisa asar hua hai tujhe dekhne ke baad
bechainiyan si rahti hain har pal har ek din
mujh ko ye kya hua hai tujhe dekhne ke baad
mujh par karam karega KHuda ek din zarur
mahsus ye hua hai tujhe dekhne ke baad
jis ki mujhe talash thi wo mil gaya hai ab
aisa mujhe laga hai tujhe dekhne ke baad
mera nasib sanwrega 'talat' kabhi zarur
mujh ko ye aasra hai tujhe dekhne ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.