dil ko taza malal kaise ho
dil ko taaza malāl kaise ho
ġham se rishta bahāl kaise ho
is se pahle ki vo na pahchāne
kar diyā hai savāl kaise ho
ham-safar tū nahīñ to duniyā meñ
gardish-e-māh-o-sāl kaise ho
yaad ḳhud hī banī ho nashtar jab
zaḳhm kā indimāl kaise ho
aap kā jab gila nahīñ miTtā
phir ta.alluq bahāl kaise ho
hañs ke tum guftugū nahīñ karte
phir suḳhan meñ kamāl kaise ho
'mīr'-o-'ġhālib' haiñ pāsbāñ us ke
phir ġhazal ko zavāl kaise ho
dil ko taza malal kaise ho
gham se rishta bahaal kaise ho
is se pahle ki wo na pahchane
kar diya hai sawal kaise ho
ham-safar tu nahin to duniya mein
gardish-e-mah-o-sal kaise ho
yaad KHud hi bani ho nashtar jab
zaKHm ka indimal kaise ho
aap ka jab gila nahin miTta
phir talluq bahaal kaise ho
hans ke tum guftugu nahin karte
phir suKHan mein kamal kaise ho
'mir'-o-'ghaalib' hain pasban us ke
phir ghazal ko zawal kaise ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.