dil ko tera guman sa hota hai
dil ko terā gumāñ sā hotā hai
ek jazba javāñ sā hotā hai
shab kī tanhā.iyoñ meñ āñkhoñ se
ek dariyā ravāñ sā hotā hai
dard kā āftāb Dhalne par
āsmāñ ḳhūñ-chakāñ sā hotā hai
tū nahīñ hai pa terā ġham merā
ādatan ham-zabāñ sā hotā hai
terī parchhā.iyāñ ubhartī haiñ
aañkh meñ jab dhuāñ sā hotā hai
niiñd aatī hai dasht meñ us dam
ishq jab sā.ebāñ sā hotā hai
tū to 'amrit' hai phir bhī maut ke vaqt
kyuuñ bhalā rā.egāñ sā hotā hai
dil ko tera guman sa hota hai
ek jazba jawan sa hota hai
shab ki tanhaiyon mein aankhon se
ek dariya rawan sa hota hai
dard ka aaftab Dhalne par
aasman KHun-chakan sa hota hai
tu nahin hai pa tera gham mera
aadatan ham-zaban sa hota hai
teri parchhaiyan ubharti hain
aankh mein jab dhuan sa hota hai
nind aati hai dasht mein us dam
ishq jab saeban sa hota hai
tu to 'amrit' hai phir bhi maut ke waqt
kyun bhala raegan sa hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.