dil ko tere dhiyan mein rakkha
dil ko tere dhiyān meñ rakkhā
shor suune makān meñ rakkhā
har taraf aa.ine bichhā.e aur
ek chehra jahān meñ rakkhā
ek aañsū chhupāyā muTThī meñ
ik samundar makān meñ rakkhā
ik mohabbat jagā.ī siine meñ
aag ko ḳhāk-dān meñ rakkhā
jaan rakkhī tumhārī chaukhaT par
dil ko terī amaan meñ rakkhā
dhuup phailī huī thī āñkhoñ meñ
ḳhvāb ko sā.ebān meñ rakkhā
paañv kī be-sabāt vahshat ko
gardish-e-āsmān meñ rakkhā
ḳhaak hone talak mire dil ne
mujh ko vahm-o-gumān meñ rakkhā
dil ko tere dhiyan mein rakkha
shor sune makan mein rakkha
har taraf aaine bichhae aur
ek chehra jahan mein rakkha
ek aansu chhupaya muTThi mein
ek samundar makan mein rakkha
ek mohabbat jagai sine mein
aag ko KHak-dan mein rakkha
jaan rakkhi tumhaari chaukhaT par
dil ko teri aman mein rakkha
dhup phaili hui thi aankhon mein
KHwab ko saeban mein rakkha
panw ki be-sabaat wahshat ko
gardish-e-asman mein rakkha
KHak hone talak mere dil ne
mujh ko wahm-o-guman mein rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.