dil ko tumhaare ranj ki parwa bahut rahi
dil ko tumhāre rañj kī parvā bahut rahī
talḳhī-e-ishq ab ke gavārā bahut rahī
jis zindagī ko chhoḌ ke aayā huuñ yuuñ shitāb
us zindagī kī mujh ko tamannā bahut rahī
dil ke varaq pe saaf likhī thī jo ek satr
kāġhaz pe aa ga.ī to burīda bahut rahī
bas ek zaḳhm sauñp ke mujh se kiyā gurez
dil ko to us mizha se tamannā bahut rahī
ik hijr-e-be-panāh raqam kar rahā thā maiñ
ye lauh-e-hijr mujh se navishta bahut rahī
dil ko tumhaare ranj ki parwa bahut rahi
talKHi-e-ishq ab ke gawara bahut rahi
jis zindagi ko chhoD ke aaya hun yun shitab
us zindagi ki mujh ko tamanna bahut rahi
dil ke waraq pe saf likhi thi jo ek satr
kaghaz pe aa gai to burida bahut rahi
bas ek zaKHm saunp ke mujh se kiya gurez
dil ko to us mizha se tamanna bahut rahi
ek hijr-e-be-panah raqam kar raha tha main
ye lauh-e-hijr mujh se nawishta bahut rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.