dil ko ummid-e-bala-e-na-gahan hai aaj-kal
dil ko ummīd-e-balā-e-nā-gahāñ hai āj-kal
sun rahā huuñ mahv-e-gardish āsmāñ hai aaj kal
kyoñ tujhe ai dil talāsh-e-kārvāñ hai āj-kal
chal tan-e-tanhā ki vaqt-e-imtihāñ hai āj-kal
bāġhbāñ bhī ḳhuub kahtā hai chaman ko lauT kar
naam us kā hī bahār-e-jāvedāñ hai āj-kal
ḳhaar aur rusvā phirā karte the ham kuchh din hue
aah kyūñkar nek-nāmī kā gumāñ hai āj-kal
luT chukī hai jis gulistāñ kī matā.a-e-rang-o-bū
mujh pe us kā pāsbāñ kuchh mehrbāñ hai āj-kal
ek dil TuuTā huā le kar hai sargardāñ 'nadīm'
ek jām-e-mai sharīk-e-dostāñ hai āj-kal
dil ko ummid-e-bala-e-na-gahan hai aaj-kal
sun raha hun mahw-e-gardish aasman hai aaj kal
kyon tujhe ai dil talash-e-karwan hai aaj-kal
chal tan-e-tanha ki waqt-e-imtihan hai aaj-kal
baghban bhi KHub kahta hai chaman ko lauT kar
nam us ka hi bahaar-e-jawedan hai aaj-kal
KHar aur ruswa phira karte the hum kuchh din hue
aah kyunkar nek-nami ka guman hai aaj-kal
luT chuki hai jis gulistan ki mataa-e-rang-o-bu
mujh pe us ka pasban kuchh mehrban hai aaj-kal
ek dil TuTa hua le kar hai sargardan 'nadim'
ek jam-e-mai sharik-e-dostan hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.