dil ko wahshat mein sukun hai yun hai
dil ko vahshat meñ sukūñ hai yuuñ hai
ab to rag rag meñ junūñ hai yuuñ hai
chain paḌtā hī nahīñ aur ye dil
roz kahtā hai ki yuuñ hai yuuñ hai
lafz aate haiñ fasāna ban kar
jaise lahje meñ fusūñ hai yuuñ hai
TūTne banñe bikharne kā amal
arsa-e-kun-fayakūñ hai yuuñ hai
guftugū un se bhalā ho kyūñkar
haañ zabāñ par kabhī huuñ hai yuuñ hai
dil ko wahshat mein sukun hai yun hai
ab to rag rag mein junun hai yun hai
chain paDta hi nahin aur ye dil
roz kahta hai ki yun hai yun hai
lafz aate hain fasana ban kar
jaise lahje mein fusun hai yun hai
TuTne banne bikharne ka amal
arsa-e-kun-fayakun hai yun hai
guftugu un se bhala ho kyunkar
han zaban par kabhi hun hai yun hai
- Book : Ishq (Pg. 64)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.