dil ko zara qarar tha wo bhi nahin raha
dil ko zarā qarār thā vo bhī nahīñ rahā
āñkhoñ ko intizār thā vo bhī nahīñ rahā
vo saath thā to saath meñ merī bhī zaat thī
merā kahīñ shumār thaa, vo bhī nahīñ rahā
us se judā hue haiñ to ḳhud ko bhī kho diyā
ḳhud par jo e'tibār thā vo bhī nahīñ rahā
dāman meñ koī chāñd, sitāra na āftāb
jugnū par inhisār thā vo bhī nahīñ rahā
jhelī thiiñ jis ke sang hī ye ranjisheñ kabhī
ik dil hī ġham-gusār thā vo bhī nahīñ rahā
uljhā thā mere dil meñ jo muddat se ik savāl
lab par jo baar baar thā vo bhī nahīñ rahā
jis par charāġh roz jalātī thī raat ko
dil meñ jo ik mazār thā vo bhī nahīñ rahā
muddat se us kī raah meñ dil thā bichhā huā
sochoñ meñ vasl-e-yār thā vo bhī nahīñ rahā
taqdīr kī asiir huuñ jis ke liye ye dil
muddat se ashk-bār thā vo bhī nahīñ rahā
mā'būd mere merā muqaddar tū dekh le
ḳhud par jo iḳhtiyār thā vo bhī nahīñ rahā
dil ko zara qarar tha wo bhi nahin raha
aankhon ko intizar tha wo bhi nahin raha
wo sath tha to sath mein meri bhi zat thi
mera kahin shumar tha, wo bhi nahin raha
us se juda hue hain to KHud ko bhi kho diya
KHud par jo e'tibar tha wo bhi nahin raha
daman mein koi chand, sitara na aaftab
jugnu par inhisar tha wo bhi nahin raha
jheli thin jis ke sang hi ye ranjishen kabhi
ek dil hi gham-gusar tha wo bhi nahin raha
uljha tha mere dil mein jo muddat se ek sawal
lab par jo bar bar tha wo bhi nahin raha
jis par charagh roz jalati thi raat ko
dil mein jo ek mazar tha wo bhi nahin raha
muddat se us ki rah mein dil tha bichha hua
sochon mein wasl-e-yar tha wo bhi nahin raha
taqdir ki asir hun jis ke liye ye dil
muddat se ashk-bar tha wo bhi nahin raha
ma'bud mere mera muqaddar tu dekh le
KHud par jo iKHtiyar tha wo bhi nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.