dil kuchh samajh saka na muamme janab ke
dil kuchh samajh saka na muamme janab ke
Mohammad Naeemullah Khayali
MORE BYMohammad Naeemullah Khayali
dil kuchh samajh sakā na muamme janāb ke
andāz hī ajab haiñ savāl-o-javāb ke
dil le ke merā ishq kī sauġhāt baḳhsh dī
qurbān jā.iye karam-e-be-hisāb ke
kal kā.enāt-e-husn nahīñ husn-e-kā.enāt
ruḳh aur bhī haiñ jalva-e-zer-e-naqāb ke
har ḳhūn-e-ārzū se na.e hausle mile
mamnūn ham haiñ koshish-e-nā-kāmyāb ke
jān-e-azīz de ke hayāt-e-davām lī
zinda huuñ kyuuñ na maare hue inqalāb ke
vaa.iz tirā ḳhudā.ī kā da.avā nahīñ gunāh
kartā hai aaj faisle roz-e-hisāb ke
kyuuñ kar na munfarid hoñ 'ḳhayālī' ġhazal ke sher
aurāq muntashir haiñ ye dil kī kitāb ke
dil kuchh samajh saka na muamme janab ke
andaz hi ajab hain sawal-o-jawab ke
dil le ke mera ishq ki saughat baKHsh di
qurban jaiye karam-e-be-hisab ke
kal kaenat-e-husn nahin husn-e-kaenat
ruKH aur bhi hain jalwa-e-zer-e-naqab ke
har KHun-e-arzu se nae hausle mile
mamnun hum hain koshish-e-na-kaamyab ke
jaan-e-aziz de ke hayat-e-dawam li
zinda hun kyun na mare hue inqalab ke
waiz tera KHudai ka dawa nahin gunah
karta hai aaj faisle roz-e-hisab ke
kyun kar na munfarid hon 'KHayali' ghazal ke sher
auraq muntashir hain ye dil ki kitab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.