dil kya harif ho teri ranjish ke bim ka
dil kya harif ho teri ranjish ke bim ka
Mohammad Zakariyya Khan
MORE BYMohammad Zakariyya Khan
dil kyā harīf ho tirī ranjish ke biim kā
tūfān hai charāġh ko jhokā nasīm kā
nazzārgī ko nashsha hai zauq-e-kalīm kā
jalva magar butoñ meñ hai nūr-e-qadīm kā
vo sādgī se pursish-e-ahvāl ab kahāñ
khulnā sitam huā mire hāl-e-saqīm kā
duniyā meñ soz-e-ishq ko paayā sazā-e-ishq
dil ho gayā kanār meñ sho.ala jahīm kā
baiThā uThā rahā hai maze sair-e-charḳh ke
paaya buland hai tire dar ke muqīm kā
mansūr ko milā thā anal-haq se auj-e-dār
bartar huā kalām se rutba kalīm kā
yuuñ be-ḳhabar haqīqat-e-ālam se rah gayā
nashsha thā jām-e-jam meñ dimāġh-e-hakīm kā
ratb-ul-lisāñ hai mauj to gauhar hai tar vahāñ
dariyā muhīt hai tire faiz-e-amīm kā
us hūr-vash se chashm-e-tasavvur hai jalva-zār
nazzāra hai ḳhayāl meñ bāġh-e-na.īm kā
yūsuf se nūr-e-dīda-e-yāqūb thā ravāñ
thā pairahan dikhāne ko parda shamīm kā
gir kar tumhāre kaan se be-āb hai guhar
utrā hai dard-e-hijr se muñh us yatīm kā
ummīd hai ki morid-e-in'ām-e-dost huuñ
juuyā huuñ maiñ vafā kī rah-e-mustaqīm kā
be-yār bazm-e-hastī-e-āshiq hai be-faroġh
dil sho.ala-e-fasurda hai sham.a-e-harīm kā
tamkīn-e-vaz.a-o-tarz-e-tabassum meñ dekhiye
andāz us kī shoḳhī-e-tab.a-e-salīm kā
īmān hai tire ruḳh-e-raushan ko dekhnā
pesh-e-nazar hai mo.ajiza māh-e-do-nīm kā
har dam hai qabz-o-bast tire lutf-o-qahr se
dil aa.ina hai sūrat-e-umīd-o-bīm kā
ādāb kī jagah hai 'zakī' bazm-e-ittihād
nāzuk hai misl-e-shīsha-e-mai dil nadīm kā
dil kya harif ho teri ranjish ke bim ka
tufan hai charagh ko jhoka nasim ka
nazzargi ko nashsha hai zauq-e-kalim ka
jalwa magar buton mein hai nur-e-qadim ka
wo sadgi se pursish-e-ahwal ab kahan
khulna sitam hua mere haal-e-saqim ka
duniya mein soz-e-ishq ko paya saza-e-ishq
dil ho gaya kanar mein shoala jahim ka
baiTha uTha raha hai maze sair-e-charKH ke
paya buland hai tere dar ke muqim ka
mansur ko mila tha anal-haq se auj-e-dar
bartar hua kalam se rutba kalim ka
yun be-KHabar haqiqat-e-alam se rah gaya
nashsha tha jam-e-jam mein dimagh-e-hakim ka
ratb-ul-lisan hai mauj to gauhar hai tar wahan
dariya muhit hai tere faiz-e-amim ka
us hur-wash se chashm-e-tasawwur hai jalwa-zar
nazzara hai KHayal mein bagh-e-naim ka
yusuf se nur-e-dida-e-yaqub tha rawan
tha pairahan dikhane ko parda shamim ka
gir kar tumhaare kan se be-ab hai guhar
utra hai dard-e-hijr se munh us yatim ka
ummid hai ki morid-e-in'am-e-dost hun
juya hun main wafa ki rah-e-mustaqim ka
be-yar bazm-e-hasti-e-ashiq hai be-farogh
dil shoala-e-fasurda hai shama-e-harim ka
tamkin-e-waza-o-tarz-e-tabassum mein dekhiye
andaz us ki shoKHi-e-taba-e-salim ka
iman hai tere ruKH-e-raushan ko dekhna
pesh-e-nazar hai moajiza mah-e-do-nim ka
har dam hai qabz-o-bast tere lutf-o-qahr se
dil aaina hai surat-e-umid-o-bim ka
aadab ki jagah hai 'zaki' bazm-e-ittihad
nazuk hai misl-e-shisha-e-mai dil nadim ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.