dil laga baiTha hun us ayyar se
dil lagā baiThā huuñ us ayyār se
jis ko nafrat hai vafā se pyaar se
dekhiye ham kis qadar haiñ be-niyāz
kuchh na māñgā husn kī sarkār se
ai nigāh-e-nāz terā shukriya
mutma.in hai dil tirī guftār se
kis liye huuñ zindagī se bad-gumāñ
kaash vo pūchhe kisī din pyaar se
zindagī bhī ham se hai bezār sī
zindagī se ham bhī haiñ bezār se
har bashar ke vāste hai lāzmī
kaam le shīrīnī-e-guftār se
aap kī ḳhātir hue barbād ham
aap bhī haiñ ham se kuchh bezār se
dostī un se nibhegī kis tarah
maiñ huuñ dīvāna to vo hoshiyār se
ġhair to phir ġhair haiñ 'āsī' magar
aap bhī kuchh kam nahīñ aġhyār se
dil laga baiTha hun us ayyar se
jis ko nafrat hai wafa se pyar se
dekhiye hum kis qadar hain be-niyaz
kuchh na manga husn ki sarkar se
ai nigah-e-naz tera shukriya
mutmain hai dil teri guftar se
kis liye hun zindagi se bad-guman
kash wo puchhe kisi din pyar se
zindagi bhi hum se hai bezar si
zindagi se hum bhi hain bezar se
har bashar ke waste hai lazmi
kaam le shirini-e-guftar se
aap ki KHatir hue barbaad hum
aap bhi hain hum se kuchh bezar se
dosti un se nibhegi kis tarah
main hun diwana to wo hoshiyar se
ghair to phir ghair hain 'asi' magar
aap bhi kuchh kam nahin aghyar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.