dil laga kar paDhai karte rahe
dil lagā kar paḌhā.ī karte rahe
umr bhar imtihāñ se Darte rahe
ek adnā savāb kī ḳhātir
jaane kitne gunāh karte rahe
jaan par kaun dam nahīñ detā
sūrat aisī thī log marte rahe
koī bhī raah par nahīñ aayā
hādse hī yahāñ guzarte rahe
hairateñ hairatoñ pe vārafta
jhiil meñ Dūbte ubharte rahe
āḳhirash ham bhī itnā suukh ga.e
log dariyā ko paar karte rahe
kyā na thā is jahān meñ āḳhir
ham bhī kyā hī talāsh karte rahe
āḳhir ezaaz us ne baḳhsh diyā
kaisā ḳhud ko zalīl karte rahe
dil laga kar paDhai karte rahe
umr bhar imtihan se Darte rahe
ek adna sawab ki KHatir
jaane kitne gunah karte rahe
jaan par kaun dam nahin deta
surat aisi thi log marte rahe
koi bhi rah par nahin aaya
hadse hi yahan guzarte rahe
hairaten hairaton pe warafta
jhil mein Dubte ubharte rahe
aaKHirash hum bhi itna sukh gae
log dariya ko par karte rahe
kya na tha is jahan mein aaKHir
hum bhi kya hi talash karte rahe
aaKHir ezaz us ne baKHsh diya
kaisa KHud ko zalil karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.