Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil lagaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte

Abbas Dana

dil lagaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte

Abbas Dana

MORE BYAbbas Dana

    dil lagāyā hai to nafrat bhī nahīñ kar sakte

    ab tire shahr se hijrat bhī nahīñ kar sakte

    āḳhrī vaqt meñ jiine sahārā hai yahī

    terī yādoñ se baġhāvat bhī nahīñ kar sakte

    jhuuT bole to jahāñ ne hameñ fankārī kahā

    ab to sach kahne himmat bhī nahīñ kar sakte

    is na.e daur ne māñ-bāp haq chhīn liyā

    apne bachchoñ ko nasīhat bhī nahīñ kar sakte

    ham ujāloñ ke payambar to nahīñ haiñ lekin

    kyā charāġhoñ hifāzat bhī nahīñ kar sakte

    qadr insān ghaT ghaT ke yahāñ tak pahuñchī

    ab to qīmat meñ ri.āyat bhī nahīñ kar sakte

    fan tāzīm meñ mar jāoge bhūke 'dānā'

    tum to ġhazloñ tijārat bhī nahīñ kar sakte

    dil lagaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte

    ab tere shahr se hijrat bhi nahin kar sakte

    aaKHri waqt mein jine ka sahaara hai yahi

    teri yaadon se baghawat bhi nahin kar sakte

    jhuT bole to jahan ne hamein fankari kaha

    ab to sach kahne ki himmat bhi nahin kar sakte

    is nae daur ne man-bap ka haq chhin liya

    apne bachchon ko nasihat bhi nahin kar sakte

    hum ujalon ke payambar to nahin hain lekin

    kya charaghon ki hifazat bhi nahin kar sakte

    qadr insan ki ghaT ghaT ke yahan tak pahunchi

    ab to qimat mein riayat bhi nahin kar sakte

    fan ki tazim mein mar jaoge bhuke 'dana'

    tum to ghazlon ki tijarat bhi nahin kar sakte

    Source :
    • Book : Fanoos (Pg. 62)
    • Author : Abbas Dana
    • Publication : Shahid Book Depot Stedum Road Noor Nagar Rakhyal Ahmdabad (1993)
    • Edition : 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now