dil lage dil-lagi nahin hoti
dil lage dil-lagī nahīñ hotī
kisī sūrat se bhī nahīñ hotī
jis meñ koī ġharaz ho poshīda
dosto dostī nahīñ hotī
haa.e kaisā hai mulk mulk-e-‘adam
jā ke phir vāpsī nahīñ hotī
lab pe rahtī thī jin kī har dam baat
un se ab baat bhī nahīñ hotī
log kahte haiñ zaḳhm ko ḳhandāñ
us pe bhī ye hañsī nahīñ hotī
yuuñ to taqdīr se haiñ sab bebas
'ishq sī bebasī nahīñ hotī
vo jo Dartī hai maut se paiham
zindagī zindagī nahīñ hotī
kisī pahlū bhī kal nahīñ paḌtī
'ishq sī bekalī nahīñ hotī
un ke dil meñ na ulfat-o-nafrat
jin ke dil meñ duī nahīñ hotī
husn-e-mā’sūm yuuñ na khul khele
khul jo khelī kalī nahīñ hotī
ham bahakte kabhī na yuuñ saaqī
tere hāthoñ jo pī nahīñ hotī
ham ki bande se ho ga.e āzād
ham se ab bandagī nahīñ hotī
dil lage dil-lagi nahin hoti
kisi surat se bhi nahin hoti
jis mein koi gharaz ho poshida
dosto dosti nahin hoti
hae kaisa hai mulk mulk-e-‘adam
ja ke phir wapsi nahin hoti
lab pe rahti thi jin ki har dam baat
un se ab baat bhi nahin hoti
log kahte hain zaKHm ko KHandan
us pe bhi ye hansi nahin hoti
yun to taqdir se hain sab bebas
'ishq si bebasi nahin hoti
wo jo Darti hai maut se paiham
zindagi zindagi nahin hoti
kisi pahlu bhi kal nahin paDti
'ishq si bekali nahin hoti
un ke dil mein na ulfat-o-nafrat
jin ke dil mein dui nahin hoti
husn-e-ma’sum yun na khul khele
khul jo kheli kali nahin hoti
hum bahakte kabhi na yun saqi
tere hathon jo pi nahin hoti
hum ki bande se ho gae aazad
hum se ab bandagi nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.