dil-lagi aur chiz hoti hai
dil-lagī aur chiiz hotī hai
dilbarī aur chiiz hotī hai
rasm hai yuuñ muānqa karnā
dostī aur chiiz hotī hai
bā-vazū huuñ maiñ qibla-rū bhī magar
bandagī aur chiiz hotī hai
in ujāloñ ko raushnī na kaho
raushnī aur chiiz hotī hai
ham to lāsheñ haiñ saañs letī huī
zindagī aur chiiz hotī hai
harf-dar-harf dard haiñ baabā
shā.irī aur chiiz hotī hai
bandisheñ aur chiiz haiñ 'tāriq'
shā.irī aur chiiz hotī hai
dil-lagi aur chiz hoti hai
dilbari aur chiz hoti hai
rasm hai yun muanqa karna
dosti aur chiz hoti hai
ba-wazu hun main qibla-ru bhi magar
bandagi aur chiz hoti hai
in ujalon ko raushni na kaho
raushni aur chiz hoti hai
hum to lashen hain sans leti hui
zindagi aur chiz hoti hai
harf-dar-harf dard hain baba
shairi aur chiz hoti hai
bandishen aur chiz hain 'tariq'
shairi aur chiz hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.