dil-lagi karne se ye dil kahan mana hota
dil-lagī karne se ye dil kahāñ maanā hotā
tum na milte to kahīñ aur Thikānā hotā
apnī marzī ke muāfiq jo fasāna hotā
vo bhī duniyā ke mutābiq hī sunānā hotā
kaash TuuTī huī kashtī ke khevayyā bante
ham ko dariyā ke kisī paar to jaanā hotā
ye koī bhūlī kahānī hai jo yaad aatī hai
aisī hālat meñ koī dost purānā hotā
dil-e-betāb hameñ zabt se mahrūm na kar
mar na jaate jo tirī baat meñ aanā hotā
tum ko bas chāhne bhar se koī kyoñ mil jaa.e
aise to sab kī hī muTThī meñ zamāna hotā
ajnabī thā so taġhāful bhī nahīñ kar paa.e
rabt hotā to bichhaḌne kā bahāna hotā
Thiik hī hai ki ye duniyā na kabhī dekhe hameñ
us se dekhā nahīñ jā.egā dīvāna hotā
dil-lagi karne se ye dil kahan mana hota
tum na milte to kahin aur Thikana hota
apni marzi ke muafiq jo fasana hota
wo bhi duniya ke mutabiq hi sunana hota
kash TuTi hui kashti ke khewayya bante
hum ko dariya ke kisi par to jaana hota
ye koi bhuli kahani hai jo yaad aati hai
aisi haalat mein koi dost purana hota
dil-e-betab hamein zabt se mahrum na kar
mar na jate jo teri baat mein aana hota
tum ko bas chahne bhar se koi kyon mil jae
aise to sab ki hi muTThi mein zamana hota
ajnabi tha so taghaful bhi nahin kar pae
rabt hota to bichhaDne ka bahana hota
Thik hi hai ki ye duniya na kabhi dekhe hamein
us se dekha nahin jaega diwana hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.