dil le ke burai karte hain lo aur suno lo aur suno
dil le ke burai karte hain lo aur suno lo aur suno
Mirza Asman Jah Anjum
MORE BYMirza Asman Jah Anjum
dil le ke burā.ī karte haiñ lo aur suno lo aur suno
phir zikr-e-judā.ī karte haiñ lo aur suno lo aur suno
kabhī dair meñ haiñ kabhī ka.abe meñ kabhī dil meñ haiñ kabhī āñkhoñ meñ
ye but bhī ḳhudā.ī karte haiñ lo aur suno lo aur suno
jo baat bhī karte Darte the kabhī āñkheñ chaar na karte the
vo ham se rukhā.ī karte haiñ lo aur suno lo aur suno
tā-zīst na pūchhī baat kabhī ab aa ke uThā.ī laash mirī
kab va.ada-vafā.ī karte haiñ lo aur suno lo aur suno
dil le ke burai karte hain lo aur suno lo aur suno
phir zikr-e-judai karte hain lo aur suno lo aur suno
kabhi dair mein hain kabhi kabe mein kabhi dil mein hain kabhi aankhon mein
ye but bhi KHudai karte hain lo aur suno lo aur suno
jo baat bhi karte Darte the kabhi aankhen chaar na karte the
wo hum se rukhai karte hain lo aur suno lo aur suno
ta-zist na puchhi baat kabhi ab aa ke uThai lash meri
kab wada-wafai karte hain lo aur suno lo aur suno
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.