dil le ke hamara phirta hai ye kaun watira tera hai
dil le ke hamara phirta hai ye kaun watira tera hai
Mirza Asman Jah Anjum
MORE BYMirza Asman Jah Anjum
dil le ke hamārā phirtā hai ye kaun vatīra terā hai
kartā hai chhichhorī bāteñ kyuuñ har baat meñ terā merā hai
tum chehra apnā dikhlā do kuchh rāh-e-ḳhalāsī batlā do
ik zulf kā saudā sar meñ hai ik kaalī balā ne gherā hai
is aane kī kyā mujh ko ḳhushī pābandī is meñ kaahe kī
bhūle se idhar bhī aa nikle ik jogī kā sā pherā hai
ham aap haiñ ek balā-e-bad kyā ham se karegā koī kad
aġhyār kareñ ham se kāvish muñh ham ko saarā terā hai
ham jaan se apnī jaate haiñ par dil se ye jaatā hī nahīñ
is ishq kā hove burā 'anjum' kyā is ne Daalā Derā hai
dil le ke hamara phirta hai ye kaun watira tera hai
karta hai chhichhori baaten kyun har baat mein tera mera hai
tum chehra apna dikhla do kuchh rah-e-KHalasi batla do
ek zulf ka sauda sar mein hai ek kali bala ne ghera hai
is aane ki kya mujh ko KHushi pabandi is mein kahe ki
bhule se idhar bhi aa nikle ek jogi ka sa phera hai
hum aap hain ek bala-e-bad kya hum se karega koi kad
aghyar karen hum se kawish munh hum ko sara tera hai
hum jaan se apni jate hain par dil se ye jata hi nahin
is ishq ka howe bura 'anjum' kya is ne Dala Dera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.