dil liya aur bewafai ki
dil liyā aur bevafā.ī kī
daad detā huuñ dilrubā.ī kī
zindagānī thī duur manzil se
maut ne aa ke rahnumā.ī kī
qāfile jis ne kar diye haiñ tabāh
us se ummīd-e-rahnumā.ī kī
vasl meñ lutf hai ba-qadr-e-firāq
kaash baḌh jaa.e shab judā.ī kī
manzil-e-ishq meñ misāl-e-ḳhizr
dil ne ḳhud merī rahnumā.ī kī
tujh se vāqif hai ik jahāñ 'nayyar'
kyā zarūrat hai ḳhud-numā.ī kī
dil liya aur bewafai ki
dad deta hun dilrubai ki
zindagani thi dur manzil se
maut ne aa ke rahnumai ki
qafile jis ne kar diye hain tabah
us se ummid-e-rahnumai ki
wasl mein lutf hai ba-qadr-e-firaq
kash baDh jae shab judai ki
manzil-e-ishq mein misal-e-KHizr
dil ne KHud meri rahnumai ki
tujh se waqif hai ek jahan 'nayyar'
kya zarurat hai KHud-numai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.