dil liya hai to bewafa na bano
dil liya hai to bewafa na bano
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
dil liyā hai to bevafā na bano
dard mat do agar davā na bano
yā navāzo to lutf-e-paiham se
yā kisī kā tum aasrā na bano
dil meñ hūr-o-qusūr haiñ har aan
shaiḳh uupar se pārsā na bano
ashraf-ul-ḳhalq hai laqab us kā
pahle insāñ bano ḳhudā na bano
mudda.ī kā na ho jo paas tumheñ
phir kisī dil kā mudda.ā na bano
ham vafādār haiñ raheñge bhī
na bano aap bā-vafā na bano
laaj rakh tū 'sahar' ke sajdoñ kī
but bano tum agar ḳhudā na bano
dil liya hai to bewafa na bano
dard mat do agar dawa na bano
ya nawazo to lutf-e-paiham se
ya kisi ka tum aasra na bano
dil mein hur-o-qusur hain har aan
shaiKH upar se parsa na bano
ashraf-ul-KHalq hai laqab us ka
pahle insan bano KHuda na bano
muddai ka na ho jo pas tumhein
phir kisi dil ka muddaa na bano
hum wafadar hain rahenge bhi
na bano aap ba-wafa na bano
laj rakh tu 'sahar' ke sajdon ki
but bano tum agar KHuda na bano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.