dil mahalle mein koi phul lagaya hua hai
dil mahalle meñ koī phuul lagāyā huā hai
jis kī ḳhushbū se mo'attar mirā saaya huā hai
haa.e vo ḳhvāb ki jis kī koī tā'bīr na thī
maiñ ne vo ḳhvāb bhī āñkhoñ meñ basāyā huā hai
jis ne luuTā hai mujhe raat kī tārīkī meñ
maiñ ne us shaḳhs ko hāthoñ pe uThāyā huā hai
jis ko bhūle hue muddat huī aur yaad nahīñ
aaj vo 'aks bhī tasvīr meñ aayā huā hai
dekh le ġhaur se hairat bharī nazroñ se 'nadīm'
terī tasvīr ko siine se lagāyā huā hai
dil mahalle mein koi phul lagaya hua hai
jis ki KHushbu se mo'attar mera saya hua hai
hae wo KHwab ki jis ki koi ta'bir na thi
main ne wo KHwab bhi aankhon mein basaya hua hai
jis ne luTa hai mujhe raat ki tariki mein
main ne us shaKHs ko hathon pe uThaya hua hai
jis ko bhule hue muddat hui aur yaad nahin
aaj wo 'aks bhi taswir mein aaya hua hai
dekh le ghaur se hairat bhari nazron se 'nadim'
teri taswir ko sine se lagaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.