dil mein ab taqat kahan KHunaba-afshani kare
dil meñ ab tāqat kahāñ ḳhūnāba-afshānī kare
varna ġham vo zahr hai patthar ko bhī paanī kare
'aql vo nāseh ki har dam laġhzish-e-pā kā ḳhayāl
dil vo dīvāna yahī chāhe ki nādānī kare
haañ mujhe bhī ho gila be-mehrī-e-hālāt kā
tujh ko āzurda agar merī pareshānī kare
ye to ik shahr-e-junūñ hai chāk-dāmāno yahāñ
sab ke sab vahshī haiñ kis ko kaun zindānī kare
mausam-e-gul hai magar be-rang hai shāḳh-e-mizha
kitnā sharminda hameñ āñkhoñ kī vīrānī kare
hañste chehroñ se diloñ ke zaḳhm pahchānegā kaun
tujh se baḌh kar zulm apnī ḳhanda-peshānī kare
nāsehoñ ko kaun samjhā.e na samjhegā 'farāz'
vo to sab kī baat sun le aur man-mānī kare
dil mein ab taqat kahan KHunaba-afshani kare
warna gham wo zahr hai patthar ko bhi pani kare
'aql wo naseh ki har dam laghzish-e-pa ka KHayal
dil wo diwana yahi chahe ki nadani kare
han mujhe bhi ho gila be-mehri-e-haalat ka
tujh ko aazurda agar meri pareshani kare
ye to ek shahr-e-junun hai chaak-damano yahan
sab ke sab wahshi hain kis ko kaun zindani kare
mausam-e-gul hai magar be-rang hai shaKH-e-mizha
kitna sharminda hamein aankhon ki virani kare
hanste chehron se dilon ke zaKHm pahchanega kaun
tujh se baDh kar zulm apni KHanda-peshani kare
nasehon ko kaun samjhae na samjhega 'faraaz'
wo to sab ki baat sun le aur man-mani kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.