dil meñ apne mohabbateñ rakhnā
dostoñ se rifāqateñ rakhnā
aa nikalnā kabhī hamārī taraf
chand lamhoñ kī fursateñ rakhnā
ashk aaheñ tavīl tanhā.ī
ham pe ye bhī ināyateñ rakhnā
ranjisheñ chhoḌ kar gale mil lo
kyā zarūrī hai nafrateñ rakhnā
saḳht patthar bhī mom ho jaa.e
do ghaḌī mujh se qurbateñ rakhnā
dil kā rishta raqīb se hai agar
kis liye phir riqābateñ rakhnā
'raaj vo tujh ko ranj de lekin
tū na us se shikāyateñ rakhnā
dil mein apne mohabbaten rakhna
doston se rifaqaten rakhna
aa nikalna kabhi hamari taraf
chand lamhon ki fursaten rakhna
ashk aahen tawil tanhai
hum pe ye bhi inayaten rakhna
ranjishen chhoD kar gale mil lo
kya zaruri hai nafraten rakhna
saKHt patthar bhi mom ho jae
do ghaDi mujh se qurbaten rakhna
dil ka rishta raqib se hai agar
kis liye phir riqabaten rakhna
'raj wo tujh ko ranj de lekin
tu na us se shikayaten rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.