dil mein aur kuchh lab par baat dilrubai ki
dil meñ aur kuchh lab par baat dilrubā.ī kī
tum ne kis salīqe se mujh se bevafā.ī kī
fāsle mohabbat meñ jitne kam hue un se
us qadar qarīb aa.iiñ sā.ateñ judā.ī kī
haal bhī mirā koī phir na pūchhne aaya
kuchh dinoñ to yāroñ ne merī ham-navā.ī kī
yuuñ to rahnumā mujh ko saiñkaḌoñ mile lekin
merī to faqat mere dil ne rahnumā.ī kī
be-chale kisī ko bhī manzileñ nahīñ miltīñ
phir hai ye shikāyat kyoñ apnī nā-rasā.ī kī
qaid qatl ranj-o-ġham saḳhtiyāñ dil-āzārī
saiñkaḌoñ sazā.eñ haiñ ek haq-navā.ī kī
ab paḌā hai miTTī meñ shāḳh se judā ho kar
barg ne havā se kyoñ zor-āzmā.ī kī
kis liye kuñ.eñ meñ tum us ko pheñk aa.e ho
bhā.iyoñ se pūchho to kyā ḳhatā thī bhaa.ī kī
ġhair hoñ ki apne hoñ sab se jhuk ke miltā huuñ
ai 'hunar' nahīñ aadat mujh ko ḳhud-satā.ī kī
dil mein aur kuchh lab par baat dilrubai ki
tum ne kis saliqe se mujh se bewafai ki
fasle mohabbat mein jitne kam hue un se
us qadar qarib aain saaten judai ki
haal bhi mera koi phir na puchhne aaya
kuchh dinon to yaron ne meri ham-nawai ki
yun to rahnuma mujh ko sainkaDon mile lekin
meri to faqat mere dil ne rahnumai ki
be-chale kisi ko bhi manzilen nahin miltin
phir hai ye shikayat kyon apni na-rasai ki
qaid qatl ranj-o-gham saKHtiyan dil-azari
sainkaDon sazaen hain ek haq-nawai ki
ab paDa hai miTTi mein shaKH se juda ho kar
barg ne hawa se kyon zor-azmai ki
kis liye kunen mein tum us ko phenk aae ho
bhaiyon se puchho to kya KHata thi bhai ki
ghair hon ki apne hon sab se jhuk ke milta hun
ai 'hunar' nahin aadat mujh ko KHud-satai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.