dil mein bala-e-ishq ka aazar bhi to ho
dil meñ balā-e-ishq kā āzār bhī to ho
dast-e-vafā pe bai'at-e-dildār bhī to ho
dekhe haiñ ham ne ġhāzī-e-guftār hī faqat
ai kaash koī sāhab-e-kirdār bhī to ho
kahne ko laakh lashkar-e-jarrār hai magar
manzūmāt ko jayyad ik sālār bhī to ho
jis par sajā.eñ ḳhil.at-o-ālāt-e-askarī
amboh-e-buzdilāñ meñ vo jī-dār bhī to ho
'mīnā' milegī dād-e-suḳhan bhī tujhe vale
ā.īna-dār fan tirā iz.hār bhī to ho
dil mein bala-e-ishq ka aazar bhi to ho
dast-e-wafa pe bai'at-e-dildar bhi to ho
dekhe hain hum ne ghazi-e-guftar hi faqat
ai kash koi sahab-e-kirdar bhi to ho
kahne ko lakh lashkar-e-jarrar hai magar
manzumat ko jayyad ek salar bhi to ho
jis par sajaen KHilat-o-alat-e-askari
amboh-e-buzdilan mein wo ji-dar bhi to ho
'mina' milegi dad-e-suKHan bhi tujhe wale
aaina-dar fan tera izhaar bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.