dil mein bhi itminan rakkhenge
dil meñ bhī itmīnān rakkheñge
fāsla darmiyān rakkheñge
aap kī soch muḳhtalif ham se
ham bhī is kā dhiyān rakkheñge
vaar tum par to kar nahīñ sakte
ḳhālī apnī miyān rakkheñge
dostoñ kī kamī nahīñ hogī
jitnī mīThī zabān rakkheñge
kar ke ḳhāmoshiyoñ meñ gum ḳhud ko
dil kā ham imtihān rakkheñge
dil mein bhi itminan rakkhenge
fasla darmiyan rakkhenge
aap ki soch muKHtalif hum se
hum bhi is ka dhiyan rakkhenge
war tum par to kar nahin sakte
KHali apni miyan rakkhenge
doston ki kami nahin hogi
jitni miThi zaban rakkhenge
kar ke KHamoshiyon mein gum KHud ko
dil ka hum imtihan rakkhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.