dil mein chalti hui jangon se nikal aaunga
dil meñ chaltī huī jañgoñ se nikal ā.ūñgā
maiñ in tārīk surañgoñ se nikal ā.ūñgā
tū bhī ik roz tarañgoñ se nikal jā.egī
maiñ bhī in jhūTī umañgoñ se nikal ā.ūñgā
aaj tū kar le mujhe qaid musavvir mere
kal maiñ tasvīr ke rañgoñ se nikal ā.ūñgā
chāhe dar kitne hī kar band mirī jaañ mujh par
maiñ tire jism ke añgoñ se nikal ā.ūñgā
dil mein chalti hui jangon se nikal aaunga
main in tarik surangon se nikal aaunga
tu bhi ek roz tarangon se nikal jaegi
main bhi in jhuTi umangon se nikal aaunga
aaj tu kar le mujhe qaid musawwir mere
kal main taswir ke rangon se nikal aaunga
chahe dar kitne hi kar band meri jaan mujh par
main tere jism ke angon se nikal aaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.