dil mein charagh-e-ishq na jo zau-fishan rahe
dil meñ charāġh-e-ishq na jo zau-fishāñ rahe
rānā.ī-e-ḳhayāl na husn-e-bayāñ rahe
shāmil hai us meñ merī tamannā kā ḳhuun bhī
rangīñ tirī adā kī na kyoñ dāstāñ rahe
dil miT gayā kashākash-e-ummīd-o-bīm meñ
ab mehrbāñ ho koī ki nā-mehrbāñ rahe
us rashk kā burā ho jo dekhā unheñ kabhī
pahroñ ham apne aap se bhī bad-gumāñ rahe
mahrūmī-e-davām ne baḳhshā hameñ sukūñ
kunj-e-qafas meñ pahuñche to ham shādmāñ rahe
pūchho ye apne jalva-e-mahjūb se zarā
ham kyoñ fareb-ḳhurda-e-vahm-o-gumāñ rahe
bazm-e-mushā.era meñ sunā.eñ kise ġhazal
ab qadr-dāñ zamāne meñ 'sā.ib' kahāñ rahe
dil mein charagh-e-ishq na jo zau-fishan rahe
ranai-e-KHayal na husn-e-bayan rahe
shamil hai us mein meri tamanna ka KHun bhi
rangin teri ada ki na kyon dastan rahe
dil miT gaya kashakash-e-ummid-o-bim mein
ab mehrban ho koi ki na-mehrban rahe
us rashk ka bura ho jo dekha unhen kabhi
pahron hum apne aap se bhi bad-guman rahe
mahrumi-e-dawam ne baKHsha hamein sukun
kunj-e-qafas mein pahunche to hum shadman rahe
puchho ye apne jalwa-e-mahjub se zara
hum kyon fareb-KHurda-e-wahm-o-guman rahe
bazm-e-mushaera mein sunaen kise ghazal
ab qadr-dan zamane mein 'saib' kahan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.