dil mein chubhte tere paikan nazar aate hain
dil meñ chubhte tire paikān nazar aate haiñ
kyā nokīle mire mehmān nazar aate haiñ
maiñ kahāñ aur kahāñ husn-e-dil-afroz un kā
mire ghar meñ vo tirī shaan nazar aate haiñ
nazar aatī hai har ā.īne meñ sūrat un kī
yahī baa.is hai jo hairān nazar aate haiñ
ḳhalvat-e-qabr meñ so so rahe jā kar ahbāb
ghar jo ābād the vīrān nazar aate haiñ
arsa-e-hashr hai yā kūcha-e-qātil yā-rab
saikḌoñ chāk-garebān nazar aate haiñ
sog kis kā hai batā dījiye ġham kis kā hai
aap kuchh aaj pareshān nazar aate haiñ
dil meñ aate hī samā.e haiñ vo āñkhoñ meñ mirī
itne nāzuk kahīñ insān nazar aate haiñ
sach hai hotī hai burī chiiz musībat 'safdar'
jāne-būjhe mire anjān nazar aate haiñ
dil mein chubhte tere paikan nazar aate hain
kya nokile mere mehman nazar aate hain
main kahan aur kahan husn-e-dil-afroz un ka
mere ghar mein wo teri shan nazar aate hain
nazar aati hai har aaine mein surat un ki
yahi bais hai jo hairan nazar aate hain
KHalwat-e-qabr mein so so rahe ja kar ahbab
ghar jo aabaad the viran nazar aate hain
arsa-e-hashr hai ya kucha-e-qatil ya-rab
saikDon chaak-gareban nazar aate hain
sog kis ka hai bata dijiye gham kis ka hai
aap kuchh aaj pareshan nazar aate hain
dil mein aate hi samae hain wo aankhon mein meri
itne nazuk kahin insan nazar aate hain
sach hai hoti hai buri chiz musibat 'safdar'
jaane-bujhe mere anjaan nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.