dil mein dam-bhar ke liye nawak-e-jaanan na raha
dil meñ dam-bhar ke liye nāvak-e-jānāñ na rahā
mezbāñ se kabhī ḳhush ho ke ye mehmāñ na rahā
ashk sab ḳhushk hue āñkhoñ meñ soz-e-ġham se
chalo achchhā huā rusvā.ī kā sāmāñ na rahā
is qadar kar diyā sairāb mire chhāloñ ne
ek bhī tishna-dahan ḳhār-e-bayābāñ na rahā
pahle armāñ thā tire milne kā tujh se mil kar
ab ye armāñ hai ki dil meñ koī armāñ na rahā
kyā burī chiiz mohabbat hai ḳhudā rahm kare
yahī sunte haiñ ki 'rāfat' bhī musalmāñ na rahā
dil mein dam-bhar ke liye nawak-e-jaanan na raha
mezban se kabhi KHush ho ke ye mehman na raha
ashk sab KHushk hue aankhon mein soz-e-gham se
chalo achchha hua ruswai ka saman na raha
is qadar kar diya sairab mere chhaalon ne
ek bhi tishna-dahan KHar-e-bayaban na raha
pahle arman tha tere milne ka tujh se mil kar
ab ye arman hai ki dil mein koi arman na raha
kya buri chiz mohabbat hai KHuda rahm kare
yahi sunte hain ki 'rafat' bhi musalman na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.