dil mein ehsas-e-fana ke bhi fana hone tak
dil meñ ehsās-e-fanā ke bhī fanā hone tak
umr darkār hai sāmān-e-baqā hone tak
ḳhatm ho jā.egī ik roz fazā kī ye ghuTan
qaid meñ rahnā hī hotā hai rihā hone tak
ye na hotā to kahāñ hotā ilāj-e-amrāz
dard allāh kā hai in.aam shifā hone tak
terī yuuñ baiTh ke tanhā.ī meñ koshish hai abas
tajarbe ziist ke kar sher nayā hone tak
maslahat us kī vahī jaane magar ai 'jāved'
ham to mar jā.eñge maqbūl-e-duā hone tak
dil mein ehsas-e-fana ke bhi fana hone tak
umr darkar hai saman-e-baqa hone tak
KHatm ho jaegi ek roz faza ki ye ghuTan
qaid mein rahna hi hota hai riha hone tak
ye na hota to kahan hota ilaj-e-amraaz
dard allah ka hai inam shifa hone tak
teri yun baiTh ke tanhai mein koshish hai abas
tajarbe zist ke kar sher naya hone tak
maslahat us ki wahi jaane magar ai 'jawed'
hum to mar jaenge maqbul-e-dua hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.