dil mein ghar banane mein der kitni lagti hai
dil meñ ghar banāne meñ der kitnī lagtī hai
ranjisheñ miTāne meñ der kitnī lagtī hai
ek 'umr lagtī hai izzateñ kamāne meñ
izzateñ gañvāne meñ der kitnī lagtī hai
tīrgī ke mausam meñ raushnī to kar dete
ik diyā jalāne meñ der kitnī lagtī hai
saañs kā bharosa kyā Dor hai nafas kī bas
Dor TuuT jaane meñ der kitnī lagtī hai
e'tibār uThne se dil meñ chhed bante haiñ
kashtī Duub jaane meñ der kitnī lagtī hai
ranjishoñ kī girheñ jab do diloñ meñ paḌtī haiñ
rabt TuuT jaane meñ der kitnī lagtī hai
ham bhī ḳhud ko badleñ aur tum bhī apnī zid chhoḌo
fāsle miTāne meñ der kitnī lagtī hai
lamha bhar ko ruk jaao ik zarā Thahar jaao
hāl-e-dil sunāne meñ der kitnī lagtī hai
ġham ġhazal meñ bhar denā dard nazm kar denā
'shamsa' ġham chhupāne meñ der kitnī lagtī hai
dil mein ghar banane mein der kitni lagti hai
ranjishen miTane mein der kitni lagti hai
ek 'umr lagti hai izzaten kamane mein
izzaten ganwane mein der kitni lagti hai
tirgi ke mausam mein raushni to kar dete
ek diya jalane mein der kitni lagti hai
sans ka bharosa kya Dor hai nafas ki bas
Dor TuT jaane mein der kitni lagti hai
e'tibar uThne se dil mein chhed bante hain
kashti Dub jaane mein der kitni lagti hai
ranjishon ki girhen jab do dilon mein paDti hain
rabt TuT jaane mein der kitni lagti hai
hum bhi KHud ko badlen aur tum bhi apni zid chhoDo
fasle miTane mein der kitni lagti hai
lamha bhar ko ruk jao ek zara Thahar jao
haal-e-dil sunane mein der kitni lagti hai
gham ghazal mein bhar dena dard nazm kar dena
'shamsa' gham chhupane mein der kitni lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.