dil mein hai arman kamsin ke liye
dil meñ hai armān kamsin ke liye
jī rahe haiñ sab usī din ke liye
zarf pe thā mere shāyad shak unheñ
dostoñ ne badle gin gin ke liye
ham-safar jab koī bhī na mil sakā
pair meñ chubhte hue tinke liye
asl chehre dekhnā chāho agar
aa.ine le aao bātin ke liye
maut se jab zindagī Darne lage
din gino 'nusrat' jī us din ke liye
dil mein hai arman kamsin ke liye
ji rahe hain sab usi din ke liye
zarf pe tha mere shayad shak unhen
doston ne badle gin gin ke liye
ham-safar jab koi bhi na mil saka
pair mein chubhte hue tinke liye
asl chehre dekhna chaho agar
aaine le aao baatin ke liye
maut se jab zindagi Darne lage
din gino 'nusrat' ji us din ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.