dil mein hai ek raaz jo honTon tak aa sakta nahin
dil meñ hai ik raaz jo hoñToñ tak aa saktā nahīñ
ya.anī maiñ jis haal meñ bhī huuñ batā saktā nahīñ
be-ḳhudī-e-zauq-e-sajda ne ye aalam kar diyā
sar to sar ab to nigāheñ bhī uThā saktā nahīñ
hai razā-e-dost meñ shāmil junūn-e-ishq bhī
chāhe kuchh kiije mujhe to hosh aa saktā nahīñ
un ke ik jalve meñ hai mahdūd un ke sāmne
merā jo aalam do-ālam meñ samā saktā nahīñ
zāhir-o-bātin kī har tafrīq hī jaatī rahī
ab maiñ chāhūñ bhī to hāl-e-dil chhupā saktā nahīñ
un kī muḳhtārī bhī ik shān-e-karam hai aur kyā
jo kisī saa.il se dāman tak chhuḌā saktā nahīñ
'kaif' ik ḳhvāb-e-pareshāñ hai kisī mahbūb kā
lekin aisā jis ko vo ḳhud bhī bhulā saktā nahīñ
dil mein hai ek raaz jo honTon tak aa sakta nahin
yani main jis haal mein bhi hun bata sakta nahin
be-KHudi-e-zauq-e-sajda ne ye aalam kar diya
sar to sar ab to nigahen bhi uTha sakta nahin
hai raza-e-dost mein shamil junun-e-ishq bhi
chahe kuchh kije mujhe to hosh aa sakta nahin
un ke ek jalwe mein hai mahdud un ke samne
mera jo aalam do-alam mein sama sakta nahin
zahir-o-baatin ki har tafriq hi jati rahi
ab main chahun bhi to haal-e-dil chhupa sakta nahin
un ki muKHtari bhi ek shan-e-karam hai aur kya
jo kisi sail se daman tak chhuDa sakta nahin
'kaif' ek KHwab-e-pareshan hai kisi mahbub ka
lekin aisa jis ko wo KHud bhi bhula sakta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.