dil mein hai par zist mein shamil nahin hai
dil meñ hai par ziist meñ shāmil nahīñ hai
ḳhūb-sūrat hai magar hāsil nahīñ hai
jaañ nikal jaatī hai gar vo muskurā de
kaun kahtā hai ki vo qātil nahīñ hai
ye shikāyat hai mirī apne ḳhudā se
gaal par us ke koī bhī til nahīñ hai
gar haqīqat meñ nahīñ ham pā sake to
ḳhvāb meñ pā lenā to mushkil nahīñ hai
chāñd hai taare haiñ sannāTā hai ham haiñ
aur tum kahte ho ki mahfil nahīñ hai
Duub jā.ūñ pyaar meñ 'sāgar' tumhāre
ab sivā tere mirī manzil nahīñ hai
dil mein hai par zist mein shamil nahin hai
KHub-surat hai magar hasil nahin hai
jaan nikal jati hai gar wo muskura de
kaun kahta hai ki wo qatil nahin hai
ye shikayat hai meri apne KHuda se
gal par us ke koi bhi til nahin hai
gar haqiqat mein nahin hum pa sake to
KHwab mein pa lena to mushkil nahin hai
chand hai tare hain sannaTa hai hum hain
aur tum kahte ho ki mahfil nahin hai
Dub jaun pyar mein 'sagar' tumhaare
ab siwa tere meri manzil nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.