dil mein hai uske muddai ka ishq
dil meñ hai us ke mudda.ī kā ishq
ḳhaak samjhe hai vo kisī kā ishq
achchhī sūrat kā huuñ maiñ dīvāna
ne mujhe huur ne parī kā ishq
kyuuñ ḳhafā ham se ho ki hotā hai
aadmī ko hī aadmī kā ishq
jaan jaatī hai har adā pe chalī
na sunā aisī raftagī kā ishq
ḳhuub roz-e-talab haiñ aur hameñ
ḳhaar rakhtā hai muflisī kā ishq
apne mausam meñ kaisā hotā hai
naunihāloñ ko sar-kashī kā ishq
'mus.hafī' ik ġhazal tū aur bhī likh
gar tujhe hai raqam-zanī kā ishq
dil mein hai us ke muddai ka ishq
KHak samjhe hai wo kisi ka ishq
achchhi surat ka hun main diwana
ne mujhe hur ne pari ka ishq
kyun KHafa hum se ho ki hota hai
aadmi ko hi aadmi ka ishq
jaan jati hai har ada pe chali
na suna aisi raftagi ka ishq
KHub roz-e-talab hain aur hamein
KHar rakhta hai muflisi ka ishq
apne mausam mein kaisa hota hai
naunihaalon ko sar-kashi ka ishq
'mushafi' ek ghazal tu aur bhi likh
gar tujhe hai raqam-zani ka ishq
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 165)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.