dil mein har ek aarzu ghuT ghuT ke mar gai
dil meñ har ek aarzū ghuT ghuT ke mar ga.ī
umr-e-ravāñ guzarne ko āḳhir guzar ga.ī
ai chāñd taaro aap ne dekhā hai kyā use
merī ḳhushī abhī abhī jaane kidhar ga.ī
shām-e-ġham-e-firāq thī aur aap kā ḳhayāl
phir yuuñ huā ki aañkh tamanna kī bhar ga.ī
mahfil meñ khul ga.ī jo mirī daf.atan zabāñ
sunte hī kitne chehroñ kī rangat utar ga.ī
bigḌā mirā nasīb to kyoñ ġham karūñ bhalā
ye bhī to kam nahīñ tirī qismat sañvar ga.ī
sāda-mizājiyāñ haiñ achambhe meñ aaj tak
fitna-garoñ kī chaal baḌā kaam kar ga.ī
hosh-o-havās uḌ ga.e āñkheñ khulī rahīñ
logoñ kī jab nigāh tire baam par ga.ī
dil mein har ek aarzu ghuT ghuT ke mar gai
umr-e-rawan guzarne ko aaKHir guzar gai
ai chand taro aap ne dekha hai kya use
meri KHushi abhi abhi jaane kidhar gai
sham-e-gham-e-firaq thi aur aap ka KHayal
phir yun hua ki aankh tamanna ki bhar gai
mahfil mein khul gai jo meri dafatan zaban
sunte hi kitne chehron ki rangat utar gai
bigDa mera nasib to kyon gham karun bhala
ye bhi to kam nahin teri qismat sanwar gai
sada-mizajiyan hain achambhe mein aaj tak
fitna-garon ki chaal baDa kaam kar gai
hosh-o-hawas uD gae aankhen khuli rahin
logon ki jab nigah tere baam par gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.