dil mein hasrat koi bachi hi nahin
dil meñ hasrat koī bachī hī nahīñ
aag aisī lagī bujhī hī nahīñ
us ne jab ḳhud ko be-naqāb kiyā
phir kisī kī nazar uThī hī nahīñ
jaisā is baar khul ke ro.e ham
aisī bārish kabhī huī hī nahīñ
zindagī ko gale lagāte kyā
zindagī umr-bhar milī hī nahīñ
muntazir kab se chāñd chhat par hai
koī khiḌkī abhī khulī hī nahīñ
maiñ jise apnī zindagī samjhā
sach to ye hai vo merī thī hī nahīñ
dil mein hasrat koi bachi hi nahin
aag aisi lagi bujhi hi nahin
us ne jab KHud ko be-naqab kiya
phir kisi ki nazar uThi hi nahin
jaisa is bar khul ke roe hum
aisi barish kabhi hui hi nahin
zindagi ko gale lagate kya
zindagi umr-bhar mili hi nahin
muntazir kab se chand chhat par hai
koi khiDki abhi khuli hi nahin
main jise apni zindagi samjha
sach to ye hai wo meri thi hi nahin
- Book : Surkhab (Pg. 22)
- Author : Azm Shakri
- Publication : Aiwan-e-adab Publishers (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.