dil mein hazar hasraten pinhan kiye hue
dil meñ hazār hasrateñ pinhāñ kiye hue
jiite haiñ taar taar garebāñ kiye hue
ai rif.at-e-hayāt tirī justujū meñ ham
phirte haiñ zaḳhm zaḳhm charāġhāñ kiye hue
ai dost ham ne dard kī rāteñ guzār diiñ
palkoñ pe āñsuoñ kā charāġhāñ kiye hue
ham vo haiñ rif'atoñ kī tamannā meñ 'umr bhar
rahte haiñ hādsāt ko mehmāñ kiye hue
kah do kalī kalī se khile ab chaman chaman
ham aa ga.e haiñ azm-e-bahārāñ kiye hue
dil mein hazar hasraten pinhan kiye hue
jite hain tar tar gareban kiye hue
ai rifat-e-hayat teri justuju mein hum
phirte hain zaKHm zaKHm charaghan kiye hue
ai dost hum ne dard ki raaten guzar din
palkon pe aansuon ka charaghan kiye hue
hum wo hain rif'aton ki tamanna mein 'umr bhar
rahte hain hadsat ko mehman kiye hue
kah do kali kali se khile ab chaman chaman
hum aa gae hain azm-e-bahaaran kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.