dil mein ho jo bhi bahr-e-KHuda kah liya karo
dil meñ ho jo bhī bahr-e-ḳhudā kah liyā karo
achchhā nahīñ kaho to burā kah liyā karo
ḳhūn-e-jigar ko rang-e-hinā kah liyā karo
un ke sitam ko un kī adā kah liyā karo
tahzīb-e-ġham ye kahtī hai ḳhāmosh lab raheñ
āñkhoñ se apnī shikva gila kah liyā karo
mumkin nahīñ hai dost ġham-e-ishq se najāt
ab dard ko hī dil kī davā kah liyā karo
ye bhī atā hai us kī jise vo navāz de
ġhazloñ meñ tum bhī hamd-o-sanā kah liyā karo
zulmat-kade meñ karte ho kyoñ raushnī talāsh
tārīkiyoñ ko hañs ke ziyā kah liyā karo
ahbāb de rahe haiñ taqīyye kā mashvara
rahzan ko tum bhī rāh-numā kah liyā karo
rasman duā ko haath uThāne se fā.eda
kuchh to duā meñ harf-e-duā kah liyā karo
lab kholne kī tum ko ijāzat nahīñ 'suhaib'
ḳhāmoshiyoñ ko dil kī sadā kah liyā karo
dil mein ho jo bhi bahr-e-KHuda kah liya karo
achchha nahin kaho to bura kah liya karo
KHun-e-jigar ko rang-e-hina kah liya karo
un ke sitam ko un ki ada kah liya karo
tahzib-e-gham ye kahti hai KHamosh lab rahen
aankhon se apni shikwa gila kah liya karo
mumkin nahin hai dost gham-e-ishq se najat
ab dard ko hi dil ki dawa kah liya karo
ye bhi ata hai us ki jise wo nawaz de
ghazlon mein tum bhi hamd-o-sana kah liya karo
zulmat-kade mein karte ho kyon raushni talash
tarikiyon ko hans ke ziya kah liya karo
ahbab de rahe hain taqiyye ka mashwara
rahzan ko tum bhi rah-numa kah liya karo
rasman dua ko hath uThane se faeda
kuchh to dua mein harf-e-dua kah liya karo
lab kholne ki tum ko ijazat nahin 'suhaib'
KHamoshiyon ko dil ki sada kah liya karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.