dil mein hujum-e-shauq-o-tamanna liye hue
dil meñ hujūm-e-shauq-o-tamannā liye hue
jaatā huuñ terī bazm se kyā kyā liye hue
nairañgī-e-jamāl hai jalva-gah-e-ḳhayāl
us dil meñ huuñ maiñ husn kī duniyā liye hue
ummīd-e-zīst us ko ho kyā jis ke vāste
aa.e payām-e-maut masīhā liye hue
vo jalva-gāh-e-nāz ho aur chashm-e-shauq maiñ
huuñ kis qadar maiñ dil meñ tamanna liye hue
ye muskurā ke kis ne nazar dil pe Daal dī
har har taḌap hai shān-e-tamannā liye hue
armāñ kī fikr kis ko tamanna kā zikr kyā
dil ḳhud hai ik nazar kā sahārā liye hue
Darne lage haiñ ab vo nazar se mirī 'munīr'
goyā sukūt bhī hai taqāzā liye hue
dil mein hujum-e-shauq-o-tamanna liye hue
jata hun teri bazm se kya kya liye hue
nairangi-e-jamal hai jalwa-gah-e-KHayal
us dil mein hun main husn ki duniya liye hue
ummid-e-zist us ko ho kya jis ke waste
aae payam-e-maut masiha liye hue
wo jalwa-gah-e-naz ho aur chashm-e-shauq main
hun kis qadar main dil mein tamanna liye hue
ye muskura ke kis ne nazar dil pe Dal di
har har taDap hai shan-e-tamanna liye hue
arman ki fikr kis ko tamanna ka zikr kya
dil KHud hai ek nazar ka sahaara liye hue
Darne lage hain ab wo nazar se meri 'munir'
goya sukut bhi hai taqaza liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.