dil mein iman to hai jazba-e-iman na sahi
dil meñ īmān to hai jazba-e-īmāñ na sahī
ham musalmān to haiñ shān-e-musalmāñ na sahī
rab kī rahmat kā sahārā hī hameñ kaafī hai
aaj duniyā meñ koī apnā nigahbāñ na sahī
tiin sau terah ne ye badr meñ paiġhām diyā
azm-o-īmān hai to jang kā sāmāñ na sahī
ham to haiñ aaj bhī taz.īn-e-gulistāñ meñ sharīk
apne hāthoñ meñ nahīñ nazm-e-gulistāñ na sahī
aslahoñ kī mire qātil ko zarūrat kyā hai
tīr-e-mizhgāñ hai bahut ḳhanjar-o-paikāñ na sahī
maiñ ne palkoñ pe sajā rakkhe haiñ ashkoñ ke charāġh
mere TuuTe hue chhappar meñ charāġhāñ na sahī
māl-o-zar paas nahīñ tosha-e-ulfat ke sivā
koī sāmān to hai ziist kā sāmāñ na sahī
aaj kī shab kisī bhūke kī ziyāfat kar de
ghar meñ tere nahīñ 'ahsan' koī mehmāñ na sahī
dil mein iman to hai jazba-e-iman na sahi
hum musalman to hain shan-e-musalman na sahi
rab ki rahmat ka sahaara hi hamein kafi hai
aaj duniya mein koi apna nigahban na sahi
tin sau terah ne ye badr mein paigham diya
azm-o-iman hai to jang ka saman na sahi
hum to hain aaj bhi tazin-e-gulistan mein sharik
apne hathon mein nahin nazm-e-gulistan na sahi
aslahon ki mere qatil ko zarurat kya hai
tir-e-mizhgan hai bahut KHanjar-o-paikan na sahi
main ne palkon pe saja rakkhe hain ashkon ke charagh
mere TuTe hue chhappar mein charaghan na sahi
mal-o-zar pas nahin tosha-e-ulfat ke siwa
koi saman to hai zist ka saman na sahi
aaj ki shab kisi bhuke ki ziyafat kar de
ghar mein tere nahin 'ahsan' koi mehman na sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.