dil mein ek aatish-e-benam-o-nishan hai jaise
dil mein ek aatish-e-benam-o-nishan hai jaise
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
dil meñ ik ātish-e-benām-o-nishāñ hai jaise
koī sho.ala sā rag-o-pai meñ ravāñ hai jaise
allah allāh re taqdīs-e-mohabbat kā fusūñ
āfat-e-qalb-o-jigar rāhat-e-jāñ hai jaise
aise lagtā hai ki is mai-kada-e-hastī meñ
ḳhūn-e-dil qismat-e-ā.alī-nafasāñ hai jaise
zarre zarre meñ ye arzānī-e-jalva kyā ḳhuub
koī mutalāshī-e-sāhab-nazarāñ hai jaise
ālam-e-husn hai yā husn-e-nazar kā aalam
nuur hī nuur ba-har-samt ravāñ hai jaise
aise itrāte haiñ arbāb-e-ḳhirad ai 'manshā'
un ke hī hāthoñ meñ tanzīm-e-jahāñ hai jaise
dil mein ek aatish-e-benam-o-nishan hai jaise
koi shoala sa rag-o-pai mein rawan hai jaise
allah allah re taqdis-e-mohabbat ka fusun
aafat-e-qalb-o-jigar rahat-e-jaan hai jaise
aise lagta hai ki is mai-kada-e-hasti mein
KHun-e-dil qismat-e-aali-nafasan hai jaise
zarre zarre mein ye arzani-e-jalwa kya KHub
koi mutalashi-e-sahab-nazaran hai jaise
aalam-e-husn hai ya husn-e-nazar ka aalam
nur hi nur ba-har-samt rawan hai jaise
aise itraate hain arbab-e-KHirad ai 'mansha'
un ke hi hathon mein tanzim-e-jahan hai jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.