dil mein ek dagh hai sawalon ka
dil meñ ik daaġh hai savāloñ kā
be-ḳhudī raqs hai niDhāloñ kā
ham siyāh raat keī asīrī haiñ
shauq rakhte haiñ vo ujāloñ kā
vo yatīmoñ ke muñh ko nā pahuñche
jaane phir kyā huā nivāloñ kā
koī ab haal tak na pūchhe hai
ham-nashīñ aur ham-piyāloñ kā
be-ḳhudī bijliyāñ qalam-kārī
kyā kaheñ aur un ke bāloñ kā
ishq meñ kuchh ḳhabar nahīñ saaqī
kyā kiyā ham ne māh-o-sāloñ kā
ghar basā kar ke ab bhī rakhā hai
tere aane ke in ḳhayāloñ kā
sab se kah do 'murād' apnā hai
be-basoñ aur tañg-hāloñ kā
dil mein ek dagh hai sawalon ka
be-KHudi raqs hai niDhaalon ka
hum siyah raat kei asiri hain
shauq rakhte hain wo ujalon ka
wo yatimon ke munh ko na pahunche
jaane phir kya hua niwalon ka
koi ab haal tak na puchhe hai
ham-nashin aur ham-piyalon ka
be-KHudi bijliyan qalam-kari
kya kahen aur un ke baalon ka
ishq mein kuchh KHabar nahin saqi
kya kiya hum ne mah-o-salon ka
ghar basa kar ke ab bhi rakha hai
tere aane ke in KHayalon ka
sab se kah do 'murad' apna hai
be-bason aur tang-haalon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.