dil mein ek dard nihan ho to ghazal hoti hai
dil meñ ik dard nihāñ ho to ġhazal hotī hai
sail-e-jazbāt ravāñ ho to ġhazal hotī hai
ġham kā ehsās javāñ ho to ġhazal hotī hai
ishq maa.il ba fuġhāñ ho to ġhazal hotī hai
un pe jab apnā gumāñ ho to nikhartā hai shu.ūr
ḳhud pe jab un kā gumāñ ho to ġhazal hotī hai
mere dil meñ jo nihāñ hai vo ġham-e-be-pāyāñ
terī āñkhoñ se ayaañ ho to ġhazal hotī hai
shab-e-furqat meñ sulagte hue ashkoñ ke tufail
zindagī sho.ala-ba-jāñ ho to ġhazal hotī hai
dil mein ek dard nihan ho to ghazal hoti hai
sail-e-jazbaat rawan ho to ghazal hoti hai
gham ka ehsas jawan ho to ghazal hoti hai
ishq mail ba fughan ho to ghazal hoti hai
un pe jab apna guman ho to nikharta hai shuur
KHud pe jab un ka guman ho to ghazal hoti hai
mere dil mein jo nihan hai wo gham-e-be-payan
teri aankhon se ayan ho to ghazal hoti hai
shab-e-furqat mein sulagte hue ashkon ke tufail
zindagi shoala-ba-jaan ho to ghazal hoti hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 475)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.