dil mein ek halchal machi hai aaj-kal
dil meñ ik halchal machī hai āj-kal
be-ḳhudī hī be-ḳhudī hai āj-kal
āñkheñ jaise jaam hoñ chhalke hue
maañg tāroñ se sajī hai āj-kal
fikr-e-mustaqbil na hai maazī kā ġham
haal meñ gum zindagī hai āj-kal
chaar jānib rang ḳhushbū shā.erī
aap se vābastagī hai āj-kal
toḌ kar taare falak se laa.e kaun
chāñd se mahfil sajī hai āj-kal
raat kuchh jugnū churā kar laa.ī thī
sub.h se jaañ par banī hai āj-kal
dil mein ek halchal machi hai aaj-kal
be-KHudi hi be-KHudi hai aaj-kal
aankhen jaise jam hon chhalke hue
mang taron se saji hai aaj-kal
fikr-e-mustaqbil na hai mazi ka gham
haal mein gum zindagi hai aaj-kal
chaar jaanib rang KHushbu shaeri
aap se wabastagi hai aaj-kal
toD kar tare falak se lae kaun
chand se mahfil saji hai aaj-kal
raat kuchh jugnu chura kar lai thi
subh se jaan par bani hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.