dil mein ek husn-e-tarah-dar ki ulfat bole
dil meñ ik husn-e-tarah-dār kī ulfat bole
bāñkpan bole mire sher kī nudrat bole
ye imārat kisī dīvāne kā ghar lagtī hai
ḳhastagī bole dar-o-bām kī hasrat bole
muskurāo ki ġhurūr-e-rah-e-zulmat ho tamām
gungunāo ki zarā rang-e-tabī.at bole
duur se rāhnumā.ī to baḌī baat nahīñ
saath aao ki taqāzā-e-rifāqat bole
zindagī dard-e-musalsal hai magar kyā kahiye
ḳhud-farebī kī adā is ko bhī rāhat bole
ye bhī ik turfa-tamāsha hai mirī jān-e-ġhazal
pyaar bole na tirī āñkhoñ meñ nafrat bole
tāzgī phūloñ ko kaliyoñ ko tabassum de de
partav-e-sub.h se shabnam kī latāfat bole
'nāzim'-e-ḳhasta kī kyā baat chalā.ī yaaro
vo to dīvāna hai har shai ko mohabbat bole
dil mein ek husn-e-tarah-dar ki ulfat bole
bankpan bole mere sher ki nudrat bole
ye imarat kisi diwane ka ghar lagti hai
KHastagi bole dar-o-baam ki hasrat bole
muskurao ki ghurur-e-rah-e-zulmat ho tamam
gungunao ki zara rang-e-tabiat bole
dur se rahnumai to baDi baat nahin
sath aao ki taqaza-e-rifaqat bole
zindagi dard-e-musalsal hai magar kya kahiye
KHud-farebi ki ada is ko bhi rahat bole
ye bhi ek turfa-tamasha hai meri jaan-e-ghazal
pyar bole na teri aankhon mein nafrat bole
tazgi phulon ko kaliyon ko tabassum de de
partaw-e-subh se shabnam ki latafat bole
'nazim'-e-KHasta ki kya baat chalai yaro
wo to diwana hai har shai ko mohabbat bole
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.