dil mein ek iztirab rahne do
dil meñ ik iztirāb rahne do
zaḳhm mere gulāb rahne do
pyaas kā ek dasht hai mujh meñ
chashm ko zer-e-āb rahne do
apne ehsān hī jatāte raho
mere ġham kā hisāb rahne do
mere kachche ghaḌe kī qismat meñ
ek biphrā chanāb rahne do
shahr se chhin ga.ī hai bīnā.ī
sūrateñ be-naqāb rahne do
rāh-e-furqat kā aasrā 'shāhīn'
ik adhūrā sā ḳhvāb rahne do
dil mein ek iztirab rahne do
zaKHm mere gulab rahne do
pyas ka ek dasht hai mujh mein
chashm ko zer-e-ab rahne do
apne ehsan hi jatate raho
mere gham ka hisab rahne do
mere kachche ghaDe ki qismat mein
ek biphra chanab rahne do
shahr se chhin gai hai binai
suraten be-naqab rahne do
rah-e-furqat ka aasra 'shahin'
ek adhura sa KHwab rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.