dil mein ek sham si utarti hai
dil meñ ik shaam sī utārtī hai
ḳhāmushī ab mujhe pukārtī hai
kaise vīrān sāhiloñ kī havā
ret par zindagī guzārtī hai
tujh se ham duur rah nahīñ sakte
koī bechainī ham ko mārtī hai
kheltī hai mire dukhoñ ke saath
zindagī kis qadar sharārtī hai
hai mohabbat to bas mohabbat hai
jiit jaatī hai ab yā hārtī hai
roz ik naqsh ko ubhārtī hai
an-kahī ruup kitne dhārtī hai
kārobārī haiñ us kī bāteñ bhī
us kī muskān bhī tijāratī hai
dil mein ek sham si utarti hai
KHamushi ab mujhe pukarti hai
kaise viran sahilon ki hawa
ret par zindagi guzarti hai
tujh se hum dur rah nahin sakte
koi bechaini hum ko marti hai
khelti hai mere dukhon ke sath
zindagi kis qadar shararti hai
hai mohabbat to bas mohabbat hai
jit jati hai ab ya haarti hai
roz ek naqsh ko ubhaarti hai
an-kahi rup kitne dhaarti hai
karobari hain us ki baaten bhi
us ki muskan bhi tijarati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.